aaina ki be-riya tasrih le kar kya karen aap apne daur ki talmih le kar kya karen bahari duniya ko danon mein phirana khub hai mimbar-o-mehrab mein tasbih le kar kya karen ku-ba-ku khulte nahin nikhri hui ghazlon ke bagh imtizaj-e-fursat-e-tafrih le kar kya karen is munafiq daur ne jina hamein sikhla diya ab zamir-e-khufta ki tauzih le kar kya karen aalam-e-hairat mein goya hain 'jamiluddin' aap aap ke ashaar ki tashrih le kar kya karen