aahon se honge gumbad-e-haft-asman kharab kis kis makan ko na karega dhuan kharab mar kar bhi apne sath rahen harza-gardiyan hai musht-e-khak surat-e-reg-e-rawan kharab qamat wo hai ki jis se qayamat hai aashkar naqsha wo hai ki jis se hai naqsh-e-jahan kharab tab-o-tawan ko jism mein yun dhundhti hai ruh jaise ghubar-e-rah pas-e-karwan kharab na-saz ho mizaj to baaton mein kya maza bimar ki tarah hai zaban o dahan kharab zewar zawal-e-husn mein pahna to kya bahaar patte sunahre surat-e-barg-e-khizan kharab qitmir se karunga sag-e-yar ka gila marqad ke ghaar mein jo huin haddiyan kharab ai 'bahr' tujh ko dhund phire shash-jihat mein hum tera pata kahin bhi hai o khanuman-kharab