aaina mukhatab hai aao guftugu kar len aur isi bahane hum khud ki justuju kar len jaane phir jame kis din bazm dil-figaron ki aao chand saat hum kyon na hao-hu kar len hont yak-ba-yak rakh den hum kaf-e-hinai par us ko surkh-ru kar den khud ko surkh-ru kar len ye bhi ek lamha hai aamad-e-bahaaran ka phad len gareban ko jashn-e-rang-o-bu kar len aablon ke pani se zarre-zarre ko sinchen dasht-e-atishin ko bhi shamil-e-numu kar len kyon na aam ho charcha us ki mehrbani ka hum bhi us ki aankhon ka zikr ku-ba-ku kar len rishta-e-nafas tute jaane kis ghadi 'sahil' kyon na apni hasti ko waqf-e-arzu kar len