azal se jis se rahe sare bad-guman patthar hue hain ab usi shishe ke pasban patthar hua jo gul to faramosh kar diya us ko charagh sa kabhi raushan tha khak-dan patthar tarash kar jise anmol kar diya us ne sunata hai usi teshe ki dastan patthar zamin pe us ko na rakhne ki shart thahri thi utha na paya kabhi rakh diya jahan patthar tulua hoga wo ek roz mere andar se ufuq se ta-ba-ufuq hai jo zau-fishan patthar lahu se tar tha badan par gila na hum ne kiya yahi sabab ki hue mujh se bad-guman patthar jabin-e-sada ko 'sahil' jo us ne dekh liya usi ghadi se hua mujh pe mehrban patthar