aaina ruth gaya hai tere jaane ke baad ek andhera sa bichha hai tere jaane ke baad kis qadar tut ke barse hain ye baadal gham ke aasman chikh utha hai tere jaane ke baad dil ke tukde hue barsat hui ashkon ki kya kahun kya kya hua hai tere jaane ke baad zehn bhi chup hai zaban chup hai nazar bhi chup hai hum ne bhi kuchh na kaha hai tere jaane ke baad chikhta khandar hai roti hai haweli dil ki ghar ye aaseb-zada hai tere jaane ke baad ghar mein dipak hi jala hai na koi sham-e-wafa muddaton dil hi jala hai tere jaane ke baad aisi thokar kabhi khai na thi is se pahle mujh ko sadma sa laga hai tere jaane ke baad ye zamana hi nahin khud se bhi 'arpit' mujh ko kuchh talluq na raha hai tere jaane ke baad