bebasi aisi bhi hoti hai bhala zindagi aisi bhi hoti hai bhala raushni ab mere ashkon se hai bas tirgi aisi bhi hoti hai bhala hanste hanste ho gaya barbaad main khush-dili aisi bhi hoti hai bhala chikhta rahta hun aksar be-sabab bekasi aisi bhi hoti hai bhala ji raha hun main use dekhe baghair be-hisi aisi bhi hoti hai bhala puchhte ho aib auron se mere dosti aisi bhi hoti hai bhala zindagi aisi hi hoti hai bhai zindagi aisi bhi hoti hai bhala rang hi chehre pe lahraate hain ab jaan-kani aisi bhi hoti hai bhala hain lahu ki bunden ab meri sipah sar-kashi aisi bhi hoti hai bhala ek hi surat yahan chaaron taraf raushni aisi bhi hoti hai bhala gal jhulse ja rahe hain kyun mere chandni aisi bhi hoti hai bhala