aaina samne rakha hoga

aaina samne rakha hoga
us ka chehra magar jhuka hoga

kaise pala hai bete ko main ne
bhul jaega jab bada hoga

shairi jam aur tanhai
hijr ki shab mein aur kya hoga

ek arse se sunte aae hain
jald hi desh ka bhala hoga

tha na malum sath rah kar bhi
darmiyan itna fasla hoga

ye mohabbat ka khel hai jaanan
is ki har chaal mein maza hoga

dekh haalat muflison ke yahan
main nahin manta khuda hoga

hongi jis ghar mein betiyan yaro
us ka mahaul khushnuma hoga

subh ke tin baj gae 'amabar'
uth ja 'rahul' bhi uth gaya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close