vaqt kai bosiida kaagaz pe raqam hone ko hai lamha-e-maujuud agle pal jo kam hone ko hai merii vahshat se kabhii sairaab thaa dasht-e-junuu.n ab mirii diivaangii kaa sar qalam hone ko hai us ke jaanib-daar hai.n saare miraa ko.ii nahii.n al-madad ai dil sar-e-pindaar kham hone ko hai zehn kahtaa hai ziyaada vaqt legaa kaar-e-ishq dil to kahtaa hai ajii bas ek dam hone ko hai ik nayaa tarz-e-sitam iijaad karnaa hai use ik na.ii tarkiib se mujh pe sitam hone ko hai ai khudaa-e-mai-kada merii madad ko jald aa teraa banda aashiq-e-dair-o-haram hone ko hai zindagii kuchh roz se kyuu.n mehrbaa.n hai be-sabab kyaa kisii aashob kaa ham pe karam hone ko hai khii.nch laa.ii jaanib-e-dariyaa hame.n bhii tishnagii ab guluu-e-khushk kaa khanjar pe ram hone ko hai