aaina tod de riha kar de bewafa ek yahi wafa kar de rishta-e-dard tod de dil se rang ko phul se juda kar de zindagi-bhar tujhi ko chaha hai qarz kuchh to mera ada kar de de raha hai zakat-e-husn agar mere haq se zara badha kar de muddaten ho gain tujhe dekhe ab to milne ka silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgan phir dar-e-khwab koi wa kar de ek sitare ko bakhsh kar mere khwab phir use mera aaina kar de baithta ja raha hai jaan ka ghubar ab use mujh se mawara kar de ai faqir-e-dayar-e-laili-jaan mere haq mein bhi kuchh dua kar de