jis dil mein teri zulf ka sauda nahin hota wo dil nahin hota nahin hota nahin hota aashiq jise kahte hain wo paida nahin hota aur hoe bhi bil-farz to mujh sa nahin hota jo kushta-e-tegh-e-nigah-e-yar hain un par kuchh kargar ejaz-e-masiha nahin hota mana ki sitam karte hain mashuq magar aap jo mujh pe rawa rakhte hain aisa nahin hota jo mast hai saqi nigah-e-mast ka wo tu minnat-kash-e-jam-o-mai-o-mina nahin hota kahta hai koi shoala-e-jawwala koi barq is dil pe guman logon ko kya kya nahin hota zahid ho do-chaar-e-nigah-e-mast to dekhen aaluda ba-mai kyunki musalla nahin hota han kuchh to bayan-e-hawas-e-dil mein hai lazzat jo lab se juda harf-e-tamanna nahin hota taskin-e-dil-e-sokhta-e-shamma ki khatir kis shab par-e-parwana se pankha nahin hota dil ishq ne itna bhi na chhoda ki jo kahwen taqsim juz-e-la-yatajazza nahin hota de baithe ho dil 'aish' tum un logon ko jin ki bedad ka wan bhi koi shunwa nahin hota