aaine ka munh bhi hairat se khula rah jaega jo bhi dekhega tujhe wo dekhta rah jaega hum ne sab kuchh taj diya teri rifaqat ke liye tujh se bichhde to hamare pas kya rah jaega mil sakenge kis tarah khwabon mein hum jab hijr se nind ho jaegi rukhsat ratjaga rah jaega hum agar teri raza hasil nahin kar paenge umr bhar hum se hamara dil khafa rah jaega jaane walon ki kami puri kabhi hoti nahin aane wale aaenge phir bhi khala rah jaega murtaish aawaz ki lahren rahengi der tak saz chup ho jaenge sail-e-sada rah jaega 'hir' ko 'gulzar' le jaenge khede ek din bansuri par tu dhunen hi chhedta rah jaega