apne hamrah khud chala karna kaun aaega mat ruka karna khud ko pahchanne ki koshish mein der tak aaina taka karna rukh agar bastiyon ki jaanib hai har taraf dekh kar chala karna wo payambar tha bhul jata tha sirf apne liye dua karna yar kya zindagi hai suraj ki subh se sham tak jala karna kuchh to apni khabar mile mujh ko mere bare mein kuchh kaha karna main tumhein aazmaunga ab ke tum mohabbat ki intiha karna us ne sach bol kar bhi dekha hai jis ki aadat hai chup raha karna