aaine ke aaKHiri izhaar mein

aaine ke aakhiri izhaar mein
main bhi hun sham-e-abad-asar mein

dekhte hi dekhte gum ho gai
raushni badhti hui raftar mein

qatra qatra chhat se hi risne lagi
dhup ka rasta na tha diwar mein

apni aankhen hi main bhul aaya kahin
raat itni bhid thi bazar mein

bar bar aata raha hai tera nam
aaina hoti hui guftar mein

dur tak bichhti chali jati thi nind
khwab aata hi na tha izhaar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close