aaine kitne yahan tut chuke hain ab tak aafrin un pe jo sach bol rahe hain ab tak tut jaenge magar jhuk nahin sakte hum bhi apne namon ki hifazat mein tane hain ab tak rahnuma un ka wahan hai hi nahin muddat se qafile wale kise dhund rahe hain ab tak apne is dil ko tasalli nahin hoti warna hum haqiqat to teri jaan chuke hain ab tak fath kar sakta nahin jin ko junun mazhab ka kuchh wo tahzib ke mahfuz qile hain ab tak un ki aankhon ko kahan khwab mayassar hote nind bhar bhi jo kabhi so na sake hain ab tak dekh lena kabhi manzar wo ghane jangal ka jab sulag utthenge jo thunth dabe hain ab tak roz nafrat ki hawaon mein sulag uthti hai ek chingari se ghar kitne jale hain ab tak un ujalon ka naya nam batao kya ho jin ujalon mein andhere hi pale hain ab tak pur-sukun aap ka chehra ye chamakti aankhen aap bhi shahr mein lagta hai nae hain ab tak khushk aankhon ko rawani hi nahin mil pai yun to hum ne bhi kai sher kahe hain ab tak dur apni hai abhi pyas bujhana mushkil aur 'dwij' aap to do kos chale hain ab tak