karzar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yab hon wo jununi dar tak jaane ko jo betab hun kohsaron par sawa-neze pe suraj aae to chotiyon ki barf pighle wadiyan sairab hon dusre sahil pe koi sohni ho muntazir hum mahinwalon ke aage bahr bhi payab hun aafiyat pate hain khwabon ke hasin bahron mein log jab har ek mauj-e-haqaeq mein nihan girdab hon