aaine se parda kar ke dekha jae khud ko itna tanha kar ke dekha jae hum bhi to dekhen hum kitne sachche hain khud se bhi ek wada kar ke dekha jae diwaron ko chhota karna mushkil hai apne qad ko uncha kar ke dekha jae raaton mein ek suraj bhi dikh jaega har manzar ko ulta kar ke dekha jae dariya ne bhi tarsaya hai pyason ko dariya ko bhi pyasa kar ke dekha jae ab aankhon se aur na dekha jaega ab aankhon ko andha kar ke dekha jae ye sapne to bilkul sachche lagte hain in sapnon ko sachcha kar ke dekha jae ghar se nikal kar jata hun main roz kahan ek din apna pichha kar ke dekha jae