nakhchir hun main kashmakash-e-fikr-o-nazar ka haq mujh se ada ho na dar-o-bast-e-hunar ka maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq dhobi ka wo kutta hun ki jo ghat na ghar ka dabta hun kisi se na dabaata hun kisi ko qael hun musawat-e-bani-nau-e-bashar ka har chiz ki hoti hai koi aakhiri had bhi kya koi bigadega kisi khak-basar ka dil-gir to be-shak hun pe naumid nahin hun raushan hai dil-e-shab mein diya nur-e-sahar ka poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq mahram hun sada dilbar-e-angekhta-bar ka zindan o salasil se sadaqat nahin dabti hai shan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar ka taswir koi banti dikhai nahin deti kiya sarfa abas hum ne kiya khun-e-jigar ka kya shughl-e-shajar kar hai afkar se behtar sauda sar-e-shorida mein gar ho na samar ka kyun sar-khush-e-raftar na ho ho qafila-e-mauj rahzan ka hai andesha na gham zad-e-safar ka dali hai sitaron pe kamand ahl-e-zamin ne zohra ka wo afsun na fasana wo qamar ka har baat hai 'khalid' ki zamane se nirali bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka