aainon mein aks bin kar jin ke paikar aa gae halqa-e-tanhai se wo log bahar aa gae saeban ne tapte suraj se milai kya nazar an-ginat suraj mere kamre ke andar aa gae qainchiyon ko phir nae sar se milenge mashghale phir udanon ke liye bazu mein shahpar aa gae wahshaton ki dad ko muhtaj hi rahte magar is haweli se guzarna tha ki patthar aa gae mishal-e-rah-e-mohabbat hain mere naqsh-e-qadam jin pe chal kar manzilon tak aaj rahbar aa gae ishq ki pabandiyan bekar ho kar rah gain hum tasawwur mein kisi ke hont chhu kar aa gae aaine alfaz ke 'sultan' karte hain kamal bal jabinon par pade hathon mein khanjar aa gae