bahar hisar-e-gham se faqat dekhne mein tha uljha hua to wo bhi kisi masale mein tha yun bhi ghalat umid ka ilzam aa gaya haalanki har sawal mera zabte mein tha duniya ki fikr tujh ko mujhe tha tera khayal bas itna farq tere mere sochne mein tha har shakhs apne-ap ko samjhe hue tha mir taqlid-e-kar koi kahan qafile mein tha patthar wahin se aate the mujh ko nawazne shishe ka ek makan jo mere raste mein tha 'sultan' hukmaran tha wo har lamha zehn par mashghul raat din main jise bhulne mein tha