aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen us hasin us ki nigah-e-naz ki baaten karen wo ki jis ne muskura ke kah diya tha haal-e-dil us tabassum us hasin andaz ki baaten karen tha wo bachpan ya jawani jab suna tha nam-e-ishq aaj phir un ajnabi alfaz ki baaten karen yaad hai ab tak hamein sahma sa wo izhaar-e-ishq band aankhen kanpti aawaz ki baaten karen thak gae duniya ki khatir khud ko de de kar fareb aaj phir apne dil-e-na-saz ki baaten karen hai bahut mayus ye dil dekh kar anjam-e-ishq phir bhi hum ai ham-nashin aaghaz ki baaten karen hijr ki rut sahn-e-jism-o-jaan se rukhsat ho gai khushnuma mausam hai ab hum raaz ki baaten karen