dushwar hai ab rasta aasan se aage rakh umar-e-kuhan pichhla qadam dhyan se aage atka hua suraj hai isi ek sabaq par badhta nahin din raat ki gardan se aage qismat ki kharabi hai ki jata hun ghalat samt padta hai bayaban bayaban se aage pahuncha to nahin main dar-e-waslat pe magar han sunta hun kahin hai shab-e-hijran se aage na takht na aabaad koi shahr saba ka ek girya hai diwar-e-sulaiman se aage khamyaza hai is aadat-e-israf ka aur bas jo be-sar-o-samani hai saman se aage kal shor bapa dil mein tha pahchan ki khatir ab sakta hai aazar ka pahchan se aage nikli na kisi ek ki tabir muafiq sau khwab the har khwab-e-pareshan se aage