aaj aaina jo dekha kitni hairani hui ajnabi aai nazar ek shakl pahchani hui jab ye jaana waqt-e-mushkil koi bhi sathi nahin dil ko rahat si mili mahsus aasani hui hum samajhte the ki be-ghar be-sahaara hain magar aasman ne ek chadar hum pe thi tani hui aansuon pe hansne walo kya tumhein malum hai aag jo dil mein thi aa kar aankh mein pani hui sath le kar khushiyan apne zindagi phir aa gai hum ne apne dil mein thi kuchh aur hi thani hui hum bhi us lamhe se khaif the bahut khaif ai dost hum se mil kar tum ko bhi yaksar pareshani hui raste ki mushkilen 'tasir' kya pur-lutf thin han magar manzil par aa kar kuchh pareshani hui