wo tund-khu hi sahi mauja-e-khizan ki tarah dikhai deta to hai abr-e-mehrban ki tarah tamam-raat sulagta raha zamin ka badan sahar khuli to kisi jalte baadban ki tarah teri talash mein ab bhi khula ke aangan mein rawan hai chand kisi barg-e-nim-jaan ki tarah main jal raha tha sulagte safed sahra mein gale mila wo mujhe mauja-e-rawan ki tarah chalin wo tund hawaen ki tar tar hua wo sabz ped ki lagta tha saeban ki tarah kahan ye chhod gaya qafila khayalon ka ruka pada hun kisi naqsh-e-be-nishan ki tarah baras rahe hain falak se zamin par jugnu faza udas hai shafqat lute makan ki tarah