aaj basti mein teri saneha aisa dekha hum ne har aankh mein biphra hua dariya dekha jaane tabir ho ab kaisi khuda khair kare raat phir khwab mein khilta hua ghuncha dekha us ne puchha bhi nahin rah ki kyon dhul hue umr bhi baith ke jis shakhs ka rasta dekha jo pahadon se chale zist ka saman le kar hum ne har jharne mein ek nur ka dhaara dekha aaina kahne laga kan mein chupke chupke be-amal shakhs koi aur na tujh sa dekha phul shakhon pe khile aap se aur phir na mile mausam-e-hijr na kuchh tu ne bhi socha dekha jaane kyun-kar wo pareshan sa rahta hai 'raza' jab bhi dekha hai kisi soch mein duba dekha