aap apni zat mein simta hua aalam tamam tum ko yun jaana ki tha jaana hua aalam tamam kal to begana tha lekin aaj hai begana-tar ek sar-e-angusht par rakkha hua aalam tamam dastaras ka zikr kya hai aagahi ki baat kya ru-ba-ru hai gard mein udta hua aalam tamam gar badal jate to thi duniya ki har shai hasb-e-haal hum nahin badle to hai badla hua aalam tamam jaanta hun main agar jaga to ye so jaega ab hun khwabida to hai jaga hua aalam tamam ungliyon ke pech se pechida girhen tah-ba-tah nakhunon ke darmiyan uljha hua aalam tamam ek meri khatir jo the sab ke dua-go kya hue uf ye mahrumi ki hai sahma hua aalam tamam