aaj be-parda nazar aane mein kya rakkha hai ye shab-e-wasl hai sharmane mein kya rakkha hai ye teri nargisi aankhon ki kashish hai shayad warna saqi tere paimane mein kya rakkha hai saz-e-ulfat pe wafaon ka tarana chhedo zulm aur jaur ke afsane mein kya rakkha hai ek hain us ki nigahon mein adu ho ki raqib dil to phir dil hai dil aa jaane mein kya rakkha hai un ka qasid hai ba-zid sath mein chaliye 'kashif' kal bhi aana hai to ab aane mein kya rakkha hai