de ke main khud ko mat kamre mein tanha baitha tha raat kamre mein tere hone se yun laga mujh ko jaise ho kaenat kamre mein chhod kar tum gae to jazbon ki ho gai hai wafat kamre mein teri taswir aur ye tanhai kat di yun hayat kamre mein misra-e-nat jab padha main ne chaar su thi nashat kamre mein teri palkon pe jo ruke aansu jagmagai hai raat kamre mein