aaj bhi jis ki hai ummid wo kal aae hue in darakhton pe zamana hua phal aae hue koi chehra hai jo lagta na ho murjhaya hua koi peshani hai jis par na hun bal aae hue ek nazar dekh le shayad tujhe yaad aa jaen hum wahi hain teri mahfil se nikal aae hue jaise har chiz nigahon mein thaharna chahe dekh lena kabhi mausam pe ghazal aae hue kya gulabon ki wo albeli ruten ruth gain in dinon hadd-e-nazar tak hain kanwal aae hue lafz mafhum se begana hain muddat guzri apne hisse mein ghazal jaisi ghazal aae hue hae wo log jo har waqt nazar aate the khak udae hue chehre pe bhi mal aae hue