yun khule bandon mohabbat ka na charcha karna baat dil ki hai use soch ke ruswa karna dushmani mol to le sakte hain pal mein sab se sakht dushwar hai ek rabt ka paida karna dosti zarf-o-yaqin ki hai kathin rah-guzar soch kar is se guzarne ka irada karna kal koi shakhs sar-e-rah ye deta tha sada ho sake to gham-e-dauran ka mudawa karna sab ke bas ka to nahin rog ye hargiz hargiz dard ke ghor andheron mein ujala karna khud ki tanhai ai 'afsar' hai muqaddar lekin apni ehsas ki samton ko na tanha karna