aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere ye bhi ek ishq ka andaz hai qatil mere tera mahrum-e-mohabbat hun so wapas na gaya be-mohabbat kabhi dar se koi sail mere husn-e-bimar tujhe phul diye hain main ne in mein hone the magar zakhm bhi shamil mere aur main hun ki safar phir bhi kiye jata hun sae ki tarah taaqub mein hai manzil mere main samundar ke talatum se bhi kuchh sikhta hun isi taqsir pe dushman hue sahil mere aaj aaraishi zanjir hai gardan mein 'kamal' kabhi hathiyar gale mein the hamail mere