dil mein tere khulus samoya na ja saka patthar mein is gulab ko boya na ja saka baqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks chehra to aansuon se bhi dhoya na ja saka phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak khushbu ko barchhiyon mein piroya na ja saka kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab fan mein khud apna gham bhi samoya na ja saka shab-khun ki rasm aisi padi ahl-e-shahr mein logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka aankhon ki bastiyon mein bhi kya qaht-e-ashk tha chaha 'kamal' roen to roya na ja saka