aaj dil be-qarar hai mera kis ke pahlu mein yar hai mera kyun na ushshaq par houn mansur jun sipand aah-dar hai mera be-qarar us ka hunga hashr mein bhi yahi us se qarar hai mera rang-e-zard aur sarishk-e-surkh to dekh kya khizan mein bahaar hai mera mere qatil ke kaf hinai nahin musht-khun yaadgar hai mera khol kar qabr dekh mashq-e-junun ki kafan tar tar hai mera aate jate magar tu thukrawe tere dar par mazar hai mera aankh munde hai meri khak se bhi yan tak us ko ghubar hai mera jite raho kyun hue raqib ke haar yahi sine mein khar hai mera tere kuche ke sag ki pa-bosi bais-e-iftikhar hai mera banda-e-yar 'uzlat'-e-marhum naqsh-e-lauh-e-mazar hai mera