aana hai to aa jao yak aan mera sahab ek aan ke hain hum bhi mehman mera sahab muddat se tumhaara main sau jaan se hun aashiq kyun jaan ke hote ho anjaan mera sahab ghusse ho uthe mujh par kyun tir-o-kaman le kar main hone ko baitha hun qurban mera sahab nagah sanam yaro mujh se jo mila aa kar mujh par ye khuda ka hai ehsan mera sahab ye banda ho ya tum ho wan ghair na ho koi is dhab ke hai milne ka arman mera sahab kuchh yaad nahin mujhe ko kafir hun musalman hun hai gham mein tere yan tak nisyan mera sahab jo ishq ki manzil ke hain ahl-e-kamal un ka hai shukr-o-shikayat mein nuqsan mera sahab saf aaina-e-dil mein raushan hai jamal us ka bar-aks hai ek aalam hairan mera sahab sau tarah kahun dil ka ahwal huzur us ke mere to nahin rahne ausan mera sahab hum ishq ki daulat se ek kunj-e-qanaat mein karte hain faqirana guzran mera sahab yan had se qadam bahar rakhne koi paya hai is jurm mein sar len hain tawan mera sahab munsif ho 'muhib' dil mein is baat ko tuk soche jab be-sar-o-saman ho insan mera sahab kya sath le aaya tha le jaega kya yan se phir chahiye kis khatir saman mera sahab mani mein wo katen hain auqat bahut be-gham jo shakhs ba-surat hain uryan mera sahab shamshir-e-barhana ke jauhar nazar aate hain insaf ki aankhon ke darmyan mera sahab