aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai ye andhere ka musafir bhi thaka lagta hai apne bahke hue daman ki khabar li na gai jis ko dekho charaghon se khafa lagta hai bagh ka phul nahin lala-e-sahra hun main lu ka jhonka bhi mujhe baad-e-saba lagta hai tangi-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzara-e-dahar pyas kachchi ho to har jam bhara lagta hai kis takalluf se girah khol raha hun dil ki uqda-e-dard tera band-e-qaba lagta hai khar-zaron ko sikha de na gulistan ka chalan ye musafir to koi aabla-pa lagta hai dekh tu rauzan-e-zindan se zara su-e-chaman aaj kyun dil ka har ek zakhm hara lagta hai kaun 'afzal' ke siwa aisi ghazal chhedega dosto ye wahi aashufta-nawa lagta hai