tere aane ka guman hota hai kis zamane ka guman hota hai sang-rezon pe bhi ab chidiyon ko dane dane ka guman hota hai main khandar hun to jahan ko mujh mein ek khazane ka guman hota hai ek taswir hun gham ki jis par muskurane ka guman hota hai ped katte hain to har tinke par aashiyane ka guman hota hai dil kahan ab to kisi tair ke phadphadane ka guman hota hai us zamane mein nahin hain hum tum jis zamane ka guman hota hai mai larazti hai to duniya tujh par dagmagane ka guman hota hai