aaj din par hamein kal raat pe rona aaya roz badle hue haalat pe rona aaya kya hua haal-e-dil-e-zar shab-e-hijr na puchh hum ko be-baat har ek baat pe rona aaya hans diya naseh-e-kam-aql meri baaton par aur mujhe us ki khurafat pe rona aaya dekh kar haalat-e-khasta tere maikhane ki pir-e-mai-khana teri zat pe rona aaya jaane kya bak gaya main hae junun mein 'betab' jis ko bhi aaya meri baat pe rona aaya