aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya tujh ko dekha aur us ke baad andha ho gaya dhup ke hathon pe baiat kar chuki hain tahniyan rang sare sabz patton ka sunahra ho gaya kan dharta hi nahin koi meri aawaz par aisa lagta hai ki sara shahr murda ho gaya saya-e-diwar ko odhe hue the sab ke sab gir gai diwar ghar ka ghar barhana ho gaya jism o jaan par sozish-e-gham ka hua yaksan asar suraten sanwla gain jab dard gahra ho gaya khwahishati irtiqa mein dab gai hai shakhsiyat nafs mota ho gaya aur shakhs dubla ho gaya zindagi ki yatra mein sath kya chhuta tera mukhtasar sa rasta pal-bhar mein lamba ho gaya 'ghaalib'-e-dana se puchho ishq mein pad kar salim ek maqul aadmi kaise nikamma ho gaya