par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun main ne socha tha ki ek dam se fasana ho jaun aap kahiye to chalun dasht ki sahra ki taraf aur agar kahiye to dariya ko rawana ho jaun kyun bhala us ko sar-e-sham ye zahmat di jae kyun na main khud hi zara chal ke nishana ho jaun rabt hai us ko zamane se bahut sunta hun koi tarkib karun main bhi zamana ho jaun karwaten lete hue raat guzar jae to kya subh hote hi mohabbat ka tarana ho jaun