aaj had se guzar gaya hai wo ishq kar ke mukar gaya hai wo naqsh-e-pa tak nazar nahin aata kaun jaane kidhar gaya hai wo jitna pani tha gahre dariya ka ek kuze mein bhar gaya hai wo maut se bhi badi saza hai ye dil mera tod kar gaya hai wo 'nur' khali jagah nahin dil mein zakhm hi zakhm bhar gaya hai wo