bahut der se khana khaya tha aaj hamare hi ghar mein walima tha aaj tawajjoh na milne ka dukh hai bahut ziyaada hi khud ko sanwara tha aaj tumhaari talab ko bhi thukra diya koi mujh mein mere alawa tha aaj nahin aaegi nind aasani se bahut der apnon mein baitha tha aaj nazar rakhi jaegi daftar mein kal main ghar lautte waqt taza tha aaj