aaj hai dahr mein kya ek nai aafat ke siwa bughz-o-nafrat ke siwa ranj-o-musibat ke siwa is tarah chhaya hua hai nigah-o-dil pe tilism jaise har chiz haqiqat ho haqiqat ke siwa apne har jabr ko wo mehr-o-wafa kahte hain hum bhi kuchh nam na den us ko mohabbat ke siwa hasti-e-ishq ko ab tak na koi jaan saka warna hai dahr mein kya aur mohabbat ke siwa har-nafas ek nae tufan ki yurish hai 'hayat' kis ko ilzam den is daur mein qismat ke siwa