ghabrae jitna maut ki dil-bastagi se hum begana utne hote gae zindagi se hum kyunki badal den neamat-e-gham ko khushi se hum kis tarah mang laen tabassum kisi se hum kuchh aisi baaten sikh gae dosti se hum karte nahin ab apna taaruf kisi se hum kah do shab-e-firaq ke taron se dub jao manus ab nahin hain kisi raushni se hum khamoshiyon ne qissa-e-gham bhi bhula diya ab baat bhi karen to karen kya kisi se hum khud apne dil se ho gae begana is tarah jaise jhijak rahe hon kisi ajnabi se hum aakhir ko chalne walon ne pahchan hi liya nikle jo sar jhukae tumhaari gali se hum shayad isi se ashk bhi aankhon mein aa gae tarikiyon ko dekh na len raushni se hum jis ne jala diye hain tamannaon ke charagh aajiz se ho gae hain usi zindagi se hum ab 'fazl' hasraten hain na fikr-o-nazar mein zau jaan nazr kar rahe hain badi bekasi se hum