aaj har gam par raqsan ye sitare kyon hain jazba-e-shauq ye be-nam sahaare kyon hain hasil-e-ishq tahayyur ke siwa kuchh bhi nahin dil to mera hai magar zakhm tumhaare kyon hain jam-e-khali ko surahi se ham-aghosh kiya kuchh to batlao ye mubham se ishaare kyon hain gar tera gham hai salamat to hai pahlu-e-nashat tere barbaad magar gham hi ke mare kyon hain jab bhi aai hai lagaya hai mohabbat se gale yaad-e-mahbub ye aansu tujhe pyare kyon hain koi sauda hai junun hai ki hai ulfat teri tere wahshi tujhe rah rah ke pukare kyon hain ek talluq ka nishan hai ki hai kuchh aur 'saba' mere hi dil mein ye khanjar se utare kyon hain