apna to khair zikr kya koi nahin nigah mein umr tamam ho gai chhote se ek gunah mein kis ka khiram-e-naz tha kaun tha gham ki rah mein nur sa ek chamak utha qalb-e-shab-e-siyah mein kaun samajh sake use rabt-e-nihan ki baat hai husn ki har ada mili ishq ke ishtibah mein teri nigah-e-nim-wa kaam to apna kar gai kaif-e-dawam de gai kulfat-e-gah-gah mein dekho charagh-e-agahi rah-e-junun mein bujh gaya aql ke hosh gum hain ab ek hi intibah mein ek maqam hai jahan ek hain aks-o-aina ishq ko ja ke dekhiye husn ki jalwa-gah mein dekh rahi hai aaj bhi meri nigah-e-garm-o-tez chhupne ko chhup gae ho tum parda-e-mehr-o-mah mein mahfil-e-zist mein 'saba' hoga nazar ka haal kya aag si jab bhadak uthi qalb-e-junun-panah mein