aaj hi mahfil sard padi hai aaj hi dard farawan hai koi to dil ki baaten chhedo yaro mahfil-e-yaran hai mere har aadarsh ka aalam ab to aalam-e-viran hai dil mein teri tamanna jaise mauj-e-reg-e-bayaban hai panw thakan se chur hain lekin dil mein shoala-e-imkan hai mere liye ek karb-e-musalsal tera jamal-e-gurezan hai mujh se milne ke khwahan ho mil kar rone se hasil phir wo aag bhadak utthegi ab jo rakh mein pinhan hai ain-khizan mein hawa ne shayad nam liya hai bahaaron ka tahni tahni kanp utthi hai patta patta larzan hai aa to gae hain aane wale kaise istiqbaal karen ab wo aabaadi suni hai ab wo gharaunda viran hai tere dukh ko pa kar hum to apna dukh bhi bhul gae kis ko khabar thi teri khamoshi tah-dar-tah ek tufan hai