yun hasraton ki gard mein tha dil ata hua jaise darakht se koi patta gira hua ho hi gaya hai nabz-shanas-e-gham-e-jahan sine mein ishq ke mera dil kanpta hua milta suragh-e-khak mujhe mere sae ka har samt zulmaton ka tha jangal uga hua kal raat khwab mein jo muqabil tha aaina mera hi qad mujhe nazar aaya badha hua jaane bhi do wo chand nahin hoga koi aur pamal aadmi jo hua chand kya hua bahar ke shor-o-ghul hi se shayad wo bol uthe baitha hai kab se chup koi andar chhupa hua panchhi uda to khatm bhi ho jaega 'ziya' sanson ke aane-jaane ka tanta bandha hua