aaj hum ek baat aisi kah gae jis se wo taswir ban kar rah gae wae nakaami ki sab arman-e-dil rafta rafta ashk ban kar bah gae aabru-e-ishq rakhna thi hamein is liye zulm-o-sitam sab sah gae hum bhi kuchh had se siwa karte magar kya karen majbur ho kar rah gae mere andaz-e-junun par bhi 'ziya' kuchh na bole muskura kar rah gae