raushni karte dil ke dagh mile raste jab bhi be-charagh mile hum ne chaha ki fikr ho raushan sab ne chaha ki bas charagh mile log hanste hue gae the udhar aur laute to dagh dagh mile wo mila jab bhi yun laga jaise baat karta koi charagh mile khub raushan tha wo makan lekin kuchh andhere pas-e-charagh mile sochiye kaun kaamyab raha dagh mujh ko use charagh mile jaane kya daur aa gaya 'zeba' raushni dhundte charagh mile