aaj ka jo kaam tha kal par uTha kar rakh diya

aaj ka jo kaam tha kal par utha kar rakh diya
main ne yun har qimti mauqa ganwa kar rakh diya

jis taraf bhi dekhiye bas jokeron ki bhid hai
aap ne to mulk ko circus bana kar rakh diya

lad raha tha zulmat-e-shab se akela ek charagh
sar-phiri aandhi ne us ko bhi bujha kar rakh diya

kaise hogi surkh-ru duniya mein aakhir aisi qaum
jis ne ahkaam-e-ilahi ko bhula kar rakh diya

kyon main tere ishq ka har su dhindhora pitta
qimti saman tha dil mein chhupa kar rakh diya

aa rahe hain ab wo iqrar-e-mohabbat ke liye
doston ne jab mujhe nahla dhula kar rakh diya

pet ki khatir kisi ne bech dali aabru
aaj is manzar ne 'tabish' ko hila kar rakh diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close