chhoD ke farzanon ki mahfil tanha is diwane ko

chhod ke farzanon ki mahfil tanha is diwane ko
hazrat-e-naseh kyon aa jate hain aksar samjhane ko

kam-zarfon ke dar ki ghulami mere bas ki baat nahin
aise jine par main kyon tarjih na dun mar jaane ko

maut se jin ko dar lagta hai honge wo log aur koi
har lamha tayyar hain hum tufan se aankh milane ko

ye hai masjid wo hai mandir ye hai kalisa wo guru-dwar
bant diya kitne hisse mein hum ne ibaadat-khane ko

maut ke dar se sab khamosh rahenge ye na-mumkin hai
koi na koi to utthega baatil se takrane ko

nafrat aur adawat ki talim jahan di jati hai
ji karta hai aag laga dun aise ibaadat-khane ko

azm-e-sadiq le kar jab dariya mein koi utrega
aaengi phir maujen khud hi kashti par lagane ko

'tabish' bas ye soch ke main ne aag laga di kashti mein
bhul ke bhi ab koi na soche laut ke wapas jaane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close